agar tujhko hamne pukaara na hota
hamaara kahin bhi guzaara na hota
juda ho gai hoti ye saans kab kii
agar haath sar par tumhaara na hota
samundar se seekha hai hamne saleeqa
agar chup na rahte khasaara na hota
agar raat-bhar jaagte rahte tum to
nazar se kabhi bhi ishaara na hota
mohabbat samundar ke jaisi na hoti
to iska bhi koii kinaara na hota
agar kaam khud ke hunar par na karte
to in rotiyon se guzaara na hota
अगर तुझको हमने पुकारा न होता
हमारा कहीं भी गुज़ारा न होता
जुदा हो गई होती ये साँस कब की
अगर हाथ सर पर तुम्हारा न होता
समुंदर से सीखा है हमने सलीक़ा
अगर चुप न रहते ख़सारा न होता
अगर रात-भर जागते रहते तुम तो
नज़र से कभी भी इशारा न होता
मोहब्बत समुंदर के जैसी न होती
तो इसका भी कोई किनारा न होता
अगर काम ख़ुद के हुनर पर न करते
तो इन रोटियों से गुज़ारा न होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari