agar is daur ka insaan sach insaan ho jaaye | अगर इस दौर का इंसान सच इंसान हो जाए

  - Prashant Kumar

agar is daur ka insaan sach insaan ho jaaye
to poora ek aab ae khizr hindustan ho jaaye

hunar aisa mujhe dena sukhun padhne jahaan jaaun
wahan ki bazm mere lafz se paakaan ho jaaye

khud aakar ke khuda uske sar apna taaj rakh dega
jo maa ki saans ki khaatir agar be-jaan ho jaaye

tiri har saans mujh mein ho meri har saans tujh mein ho
main teri jaan ho jaaun tu meri jaan ho jaaye

अगर इस दौर का इंसान सच इंसान हो जाए
तो पूरा एक आब ए ख़िज़्र हिंदुस्तान हो जाए

हुनर ऐसा मुझे देना सुख़न पढ़ने जहाँ जाऊँ
वहाँ की बज़्म मेरे लफ़्ज़ से पाकान हो जाए

ख़ुद आकर के ख़ुदा उसके सर अपना ताज रख देगा
जो माँ की साँस की खातिर अगर बे-जान हो जाए

तिरी हर साँस मुझ में हो मिरी हर साँस तुझ में हो
मैं तेरी जान हो जाऊँ तू मेरी जान हो जाए

  - Prashant Kumar

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari