bade na-samajh ho ye kya kar rahe ho | बड़े ना-समझ हो ये क्या कर रहे हो

  - Prashant Kumar

bade na-samajh ho ye kya kar rahe ho
kaleje se dil ko juda kar rahe ho

khabar hai dhadakti hui aag hoon main
dupatte se phir bhi hawa kar rahe ho

meri hi wajah se ho baithe hue aur
mujhe anjuman mein khada kar rahe ho

nigaahon se ho door maata-pitaa kii
unhen kya khabar tum ki kya kar rahe ho

kabhi apna kahte kabhi gair kahte
are yaar tum bhi maza kar rahe ho

chalaaya hai marham kii tah mein bhi khanjar
mere zakhm kii tum dava kar rahe ho

बड़े ना-समझ हो ये क्या कर रहे हो
कलेजे से दिल को जुदा कर रहे हो

ख़बर है धधकती हुई आग हूँ मैं
दुपट्टे से फिर भी हवा कर रहे हो

मिरी ही वजह से हो बैठे हुए और
मुझे अंजुमन में खड़ा कर रहे हो

निगाहों से हो दूर माता-पिता की
उन्हें क्या खबर तुम कि क्या कर रहे हो

कभी अपना कहते कभी ग़ैर कहते
अरे यार तुम भी मज़ा कर रहे हो

चलाया है मरहम की तह में भी ख़ंजर
मिरे ज़ख़्म की तुम दवा कर रहे हो

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari