jismein sabhi samaaen aisa libaas le lo
ye qaum kii qabaayein logon utaar bhi do
tyohaar rang ka hai hamdam na aise dekho
lo paas aa gaye ham ab to gulaal fenko
hai kaun is jahaan mein jo ho na paa-b-jaulaan
be-fikr jo raha hai hoga halaak dekho
jo seth aag mein ghee bin baat daalta hai
uski ladai ho to khulkar sharaab fenko
barbaad mat karo tum ye waqt qeemti hai
ya to padhaai kar lo ya phir achaar becho
bas naam hi liya tha kal anjuman mein unka
itne mein hamse bole apna hisaab dekho
जिसमें सभी समाएँ ऐसा लिबास ले लो
ये क़ौम की क़बाएँ लोगों उतार भी दो
त्योहार रंग का है हमदम न ऐसे देखो
लो पास आ गए हम अब तो गुलाल फेंको
है कौन इस जहाँ में जो हो न पा-ब-जौलाँ
बे-फ़िक्र जो रहा है होगा हलाक देखो
जो सेठ आग में घी बिन बात डालता है
उसकी लड़ाई हो तो खुलकर शराब फेंको
बर्बाद मत करो तुम ये वक़्त क़ीमती है
या तो पढ़ाई कर लो या फिर अचार बेचो
बस नाम ही लिया था कल अंजुमन में उनका
इतने में हमसे बोले अपना हिसाब देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Sharaab Shayari Shayari