zamaane se dil mein dabii phir rahi hain
sabhi khwaahishein tootti phir rahi hain
jin aankhon kii main raushni ban gaya hoon
na jaane kise dekhti phir rahi hain
balaaen agar jaanti hain pata to
zamaane se kyun bujhti phir rahi hain
ghalat raah par shauq mein jo chale hain
unhen manzilen dhoondhti phir rahi hain
are yaar guzra hua haadisa hoon
magar ladkiyaan sochti phir rahi hain
idhar se udhar betiyaan ek maa ko
kai saal se dhoondhti phir rahi hain
kisoo jaamin ke hi liye roz maayein
idhar se udhar maangti phir rahi hain
ज़माने से दिल में दबी फिर रही हैं
सभी ख़्वाहिशें टूटती फिर रही हैं
जिन आँखों की मैं रौशनी बन गया हूँ
न जाने किसे देखती फिर रही हैं
बलाएँ अगर जानती हैं पता तो
ज़माने से क्यूँ बूझती फिर रही हैं
ग़लत राह पर शौक़ में जो चले हैं
उन्हें मंज़िलें ढूँढती फिर रही हैं
अरे यार गुज़रा हुआ हादिसा हूँ
मगर लड़कियाँ सोचती फिर रही हैं
इधर से उधर बेटियाँ एक माँ को
कई साल से ढूँढती फिर रही हैं
किसू इब्न के ही लिए रोज़ माएँ
इधर से उधर माँगती फिर रही हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari