muhabbat karne waalon ko zamaane se chura lena | मुहब्बत करने वालों को ज़माने से चुरा लेना

  - Prashant Kumar

muhabbat karne waalon ko zamaane se chura lena
nazar koi na lag jaaye kahi dil mein chhupa lena

jo asli mard hote hain kabhi peeche nahin hatte
jahaan marzi tumhaari ho wahan mujhko bula lena

may ae angoor dete waqt itna sa karam karna
dabaakar daant se pallu zara munh ko ghuma lena

yahan to dekh lenge sab bahut badnaam bhi hoge
so pehle door lekar jaao phir mujhse maza lena

vo nange pair aawenge mujhe karne se pehle dafn
tum aisa karna ghar se qabr tak makhmal bichha lena

suna hai deed ko tum bhi bahut bechain rahte ho
chalo ye lo meri tasveer sirhaane laga lena

मुहब्बत करने वालों को ज़माने से चुरा लेना
नज़र कोई न लग जाए कहीं दिल में छुपा लेना

जो असली मर्द होते हैं कभी पीछे नहीं हटते
जहाँ मर्ज़ी तुम्हारी हो वहाँ मुझको बुला लेना

मय ए अंगूर देते वक़्त इतना सा करम करना
दबाकर दाँत से पल्लू ज़रा मुँह को घुमा लेना

यहाँ तो देख लेंगे सब बहुत बदनाम भी होगे
सो पहले दूर लेकर जाओ फिर मुझसे मज़ा लेना

वो नंगे पैर आवेंगे मुझे करने से पहले दफ़्न
तुम ऐसा करना घर से क़ब्र तक मख़मल बिछा लेना

सुना है दीद को तुम भी बहुत बेचैन रहते हो
चलो ये लो मिरी तस्वीर सिरहाने लगा लेना

  - Prashant Kumar

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari