husn waale mujhe badnaam bada karte hain | हुस्न वाले मुझे बदनाम बड़ा करते हैं

  - Prashant Kumar

husn waale mujhe badnaam bada karte hain
vo sar-e-aam ki mehfil mein khada karte hain

phool sa jism hai patthar se bhida karte hain
kholkar zulf sanam mujhse lada karte hain

yaar ye koii tareeqa hai saza dene ka
ek hi paanv pe din raat khada karte hain

qarz maa baap ka ham kaise chuka paayenge
vo hamein khoon paseene se bada karte hain

saamne unke kisi aur ko dekhoon phir to
raat bhar mujhse sar-e-aam lada karte hain

utni jaldi hi samajh lo main sudhar jaata hoon
jitne thappad mere kaanon pe pada karte hain

हुस्न वाले मुझे बदनाम बड़ा करते हैं
वो सर-ए-आम कि महफ़िल में खड़ा करते हैं

फूल सा जिस्म है पत्थर से भिड़ा करते हैं
खोलकर ज़ुल्फ़ सनम मुझसे लड़ा करते हैं

यार ये कोई तरीक़ा है सज़ा देने का
एक ही पाँव पे दिन रात खड़ा करते हैं

क़र्ज़ माँ बाप का हम कैसे चुका पाएँगे
वो हमें ख़ून पसीने से बड़ा करते हैं

सामने उनके किसी और को देखूँ फिर तो
रात भर मुझसे सर-ए-आम लड़ा करते हैं

उतनी जल्दी ही समझ लो मैं सुधर जाता हूँ
जितने थप्पड़ मिरे कानों पे पड़ा करते हैं

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari