muft mein sabne wafaayein bech daaliin
saanson mein theen jo sadaaein bech daaliin
dard utha tha kal so maa ne meri khaatir
apni aankhon kii dawaayein bech daaliin
raat meri aakhiri hichki ke dar se
husn waalon ne adaayein bech daaliin
mere baare mein suna jab sufiyon ne
raat mein hi sab duaaein bech daaliin
usne saansen bech deen kal meri khaatir
aur darzee ne qabaayein bech daaliin
zikr kisne kar diya mera khuda se
meri khaatir apsaraayein bech daaliin
मुफ़्त में सबने वफ़ाएँ बेच डालीं
साँसों में थीं जो सदाएँ बेच डालीं
दर्द उठा था कल सो माँ ने मेरी ख़ातिर
अपनी आँखों की दवाएँ बेच डालीं
रात मेरी आख़िरी हिचकी के डर से
हुस्न वालों ने अदाएँ बेच डालीं
मेरे बारे में सुना जब सूफ़ियों ने
रात में ही सब दुआएँ बेच डालीं
उसने साँसें बेच दीं कल मेरी ख़ातिर
और दर्ज़ी ने क़बाएँ बेच डालीं
ज़िक्र किसने कर दिया मेरा ख़ुदा से
मेरी ख़ातिर अप्सराएँ बेच डालीं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari