aise na pa sakoge ki mushkil zaroor hoon
vaise main har khuloos ke qaabil zaroor hoon
aabaad karke aa raha hoon khaak bastiyaan
maana tiri nigaah mein qaateel zaroor hoon
ilm-o-hunar jise bhi diya ishq ka diya
main bewafa kii list mein shaamil zaroor hoon
dekha nahin kisi ko bhi qaumi nigaah se
haan ham-nasb ayaal mein daakhil zaroor hoon
hal aaj tak bhi ek mu'amma nahin hua
vaise tiri nigaah mein qaabil zaroor hoon
karne lagin hain yaad mujhe bhaavi peedhiyaan
ahl-e-zameen kii bheed mein khamil zaroor hoon
bola nahin hoon aaj talak sach jahaan mein
vaise har ik nigaah mein baatil zaroor hoon
tu khud mujhe na dekhe to ye baat hai alag
vaise to teri aankh ke kaabil zaroor hoon
jab bhi kiya jahaan ka maine bhala kiya
phir bhi ki har buraai mein shaamil zaroor hoon
ऐसे न पा सकोगे कि मुश्किल ज़रूर हूँ
वैसे मैं हर ख़ुलूस के क़ाबिल ज़रूर हूँ
आबाद करके आ रहा हूँ ख़ाक बस्तियाँ
माना तिरी निगाह में क़ातिल ज़रूर हूँ
इल्म-ओ-हुनर जिसे भी दिया इश्क़ का दिया
मैं बेवफ़ा की लिस्ट में शामिल ज़रूर हूँ
देखा नहीं किसी को भी क़ौमी निगाह से
हाँ हम-नसब 'अयाल में दाख़िल ज़रूर हूँ
हल आज तक भी एक मु'अम्मा नहीं हुआ
वैसे तिरी निगाह में क़ाबिल ज़रूर हूँ
करने लगीं हैं याद मुझे भावी पीढ़ियाँ
अहल-ए-ज़मीं की भीड़ में ख़ामिल ज़रूर हूँ
बोला नहीं हूँ आज तलक सच जहान में
वैसे हर इक निगाह में बातिल ज़रूर हूँ
तू ख़ुद मुझे न देखे तो ये बात है अलग
वैसे तो तेरी आँख के काबिल ज़रूर हूँ
जब भी किया जहान का मैंने भला किया
फिर भी कि हर बुराई में शामिल ज़रूर हूँ
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari