chale aaye bhari barsaat mein deedaar karne ko
chale aaye andheri raat mein bhi pyaar karne ko
tumhein kitne dinon ke baad dekha hai idhar hamne
kise aaye ho ab bolo idhar beemaar karne ko
badi mushkil se to tasveer ik dil mein sajaai hai
yahi dar hai na aa jaayen kahin bekar karne ko
adhuri hi rahi hogi mohabbat har dafa unki
tabhi to aa rahe hain ab hamein dildaar karne ko
karogi kya hamaare saath baabu zid nahin karte
chalo ghar jaao ab ham ja rahe bazaar karne ko
चले आए भरी बरसात में दीदार करने को
चले आए अँधेरी रात में भी प्यार करने को
तुम्हें कितने दिनों के बाद देखा है इधर हमने
किसे आए हो अब बोलो इधर बीमार करने को
बड़ी मुश्किल से तो तस्वीर इक दिल में सजाई है
यही डर है न आ जाएँ कहीं बेकार करने को
अधूरी ही रही होगी मोहब्बत हर दफ़ा उनकी
तभी तो आ रहे हैं अब हमें दिलदार करने को
करोगी क्या हमारे साथ बाबू ज़िद नहीं करते
चलो घर जाओ अब हम जा रहे बाज़ार करने को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Wahshat Shayari Shayari