pehle aankhon mein samaa jaana hai | पहले आँखों में समा जाना है

  - Prashant Kumar

pehle aankhon mein samaa jaana hai
aur phir dil mein utar aana hai

dono ka ek safar hai lekin
tujhe aana hai mujhe jaana hai

khushi duniya pe luta deni hai
dukh kaleje se laga jaana hai

main sharaabi to nahin hoon khaaliq
phir bhi bottle to mujhe laana hai

kaun hoon kaun nahin hoon main ab
is zamaane ko dikha jaana hai

पहले आँखों में समा जाना है
और फिर दिल में उतर आना है

दोनों का एक सफ़र है लेकिन
तुझे आना है मुझे जाना है

ख़ुशी दुनिया पे लुटा देनी है
दुख कलेजे से लगा जाना है

मैं शराबी तो नहीं हूँ ख़ालिक़
फिर भी बोतल तो मुझे लाना है

कौन हूँ कौन नहीं हूँ मैं अब
इस ज़माने को दिखा जाना है

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari