hamaari hifazat kahaan tak karoge | हमारी हिफ़ाज़त कहाँ तक करोगे

  - Prashant Kumar

hamaari hifazat kahaan tak karoge
jahaan se bagaavat kahaan tak karoge

haqeeqat kisoo kii bhi chhupti nahin hai
ki jhoothi ibaarat kahaan tak karoge

jawaani sada rahne waali nahin hai
tum iski hifazat kahaan tak karoge

kabhu to uthega hi toofaan dil mein
jawaan hai sharaarat kahaan tak karoge

tumhein dekhti hi nahin jo nigaahen
tum unki ziyaarat kahaan tak karoge

ki bhagwaan hota to maaloom deta
tum aise ibadat kahaan tak karoge

हमारी हिफ़ाज़त कहाँ तक करोगे
जहाँ से बग़ावत कहाँ तक करोगे

हक़ीक़त किसू की भी छुपती नहीं है
कि झूठी इबारत कहाँ तक करोगे

जवानी सदा रहने वाली नहीं है
तुम इसकी हिफ़ाज़त कहाँ तक करोगे

कभू तो उठेगा ही तूफ़ान दिल में
जवाँ है शरारत कहाँ तक करोगे

तुम्हें देखती ही नहीं जो निगाहें
तुम उनकी ज़ियारत कहाँ तक करोगे

कि भगवान होता तो मालूम देता
तुम ऐसे इबादत कहाँ तक करोगे

  - Prashant Kumar

Jawani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Jawani Shayari Shayari