naam se mere dar gaye honge | नाम से मेरे डर गए होंगे

  - Prashant Kumar

naam se mere dar gaye honge
ya phir ab vo sudhar gaye honge

beech se hi mukar gaye honge
sab mujhe chhodkar gaye honge

ek aur saal lag gaya ab to
husn sabke nikhar gaye honge

muddaton baad yaad aayi hai
ham nazar se utar gaye honge

abhi naadaan hi the mohabbat mein
jin kidhar se kidhar gaye honge

jyon shab-e-intizaar guzri hai
vaise hi din guzar gaye honge

vo jidhar zahar kii dukanein theen
raat ko ham udhar gaye honge

नाम से मेरे डर गए होंगे
या फिर अब वो सुधर गए होंगे

बीच से ही मुकर गए होंगे
सब मुझे छोड़कर गए होंगे

एक और साल लग गया अब तो
हुस्न सबके निखर गए होंगे

मुद्दतों बाद याद आई है
हम नज़र से उतर गए होंगे

अभी नादाँ ही थे मोहब्बत में
जिन किधर से किधर गए होंगे

ज्यों शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है
वैसे ही दिन गुज़र गए होंगे

वो जिधर ज़हर की दुकानें थीं
रात को हम उधर गए होंगे

  - Prashant Kumar

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari