aankhon hi aankhon mein vaar ho jaata hai
jisko bhi mehfil mein pyaar ho jaata hai
jab bhi gharibon ka choolha jal jaata hai
vo din mere liye tyohaar ho jaata hai
zindagi ko jo lay mein rakhna seekh gaya
apne aap hi vo fankaar ho jaata hai
tere peechhe ik chaaragar jaane kyun
roz dava khaakar beemaar ho jaata hai
pet kii khaatir roti koii chura le to
uska jeena phir dushwaar ho jaata hai
ye kehta hai arooba ko lena chumma
phir uska jumma itwaar. ho jaata hai
rog mohabbat ka jisko lag jaata hai
vo to zindagi se bekar ho jaata hai
आँखों ही आँखों में वार हो जाता है
जिसको भी महफ़िल में प्यार हो जाता है
जब भी ग़रीबों का चूल्हा जल जाता है
वो दिन मेरे लिए त्योहार हो जाता है
ज़िंदगी को जो लय में रखना सीख गया
अपने आप ही वो फ़नकार हो जाता है
तेरे पीछे इक चारागर जाने क्यूँ
रोज़ दवा खाकर बीमार हो जाता है
पेट की ख़ातिर रोटी कोई चुरा ले तो
उसका जीना फिर दुश्वार हो जाता है
ये कहता है 'अरूबा को लेना चुम्मा
फिर उसका जुम्मा इतवार हो जाता है
रोग मोहब्बत का जिसको लग जाता है
वो तो ज़िंदगी से बेकार हो जाता है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari