bas ik aur hi boond khaate mein nikli
dhadakti hui aag seene mein nikli
qayamat nazar aayi hai qabr mein bhi
vo yun ban sanwar ke janaaze mein nikli
hamein jiska dar tha wahi to hua hai
wahi baat uske iraade mein nikli
sabhi kuchh tha bikhra hua may-kade mein
ki soti hui vo bhi kaabe mein nikli
mohabbat nahin mujhse kehta raha vo
magar meri photo lifaafe mein nikli
are zindagi ko kahaan par na dhoondhaa
magar ye to ganne ke baade mein nikli
ki kis jurm kii phir saza mil rahi hai
bata kya kami mere naate mein nikli
बस इक और ही बूँद खाते में निकली
धधकती हुई आग सीने में निकली
क़यामत नज़र आई है क़ब्र में भी
वो यूँ बन सँवर के जनाज़े में निकली
हमें जिसका डर था वही तो हुआ है
वही बात उसके इरादे में निकली
सभी कुछ था बिखरा हुआ मय-कदे में
कि सोती हुई वो भी काबे में निकली
मोहब्बत नहीं मुझसे कहता रहा वो
मगर मेरी फोटो लिफ़ाफ़े में निकली
अरे ज़िंदगी को कहाँ पर न ढूँढा
मगर ये तो गन्ने के बाड़े में निकली
कि किस जुर्म की फिर सज़ा मिल रही है
बता क्या कमी मेरे नाते में निकली
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari