shakl se darte hain kuchh gaam se dar jaate hain
aajkal log mere naam se dar jaate hain
vaise ko kahte hain vo pehli mohabbat ho tum
baat aati hai to anjaam se dar jaate hain
bazm ho khuld ho ya chahe koii maykhaana
har taraf log mere jaam se dar jaate hain
daantne kii to zaroorat hi nahin hai inko
ab ke bacche bade aaraam se dar jaate hain
ab hamein ishq ke anjaam ka dar thodi hai
aise hi ishq ke ilzaam se dar jaate hain
top khanjar ye to bekar kii cheeze hain yaar
jinko darna ho vo aaraam se dar jaate hain
itni dahshat hai ki ab bhi tire kooche ke log
kya bataaun mere hamnaam se dar jaate hain
vaise ko kahte hain ghar kyun nahin aata hai tu
aata hoon to mere vishraam se dar jaate hain
शक्ल से डरते हैं कुछ गाम से डर जाते हैं
आजकल लोग मिरे नाम से डर जाते हैं
वैसे को कहते हैं वो पहली मोहब्बत हो तुम
बात आती है तो अंजाम से डर जाते हैं
बज़्म हो ख़ुल्द हो या चाहे कोई मयख़ाना
हर तरफ़ लोग मिरे जाम से डर जाते हैं
डाँटने की तो ज़रूरत ही नहीं है इनको
अब के बच्चे बड़े आराम से डर जाते हैं
अब हमें इश्क़ के अंजाम का डर थोड़ी है
ऐसे ही इश्क़ के इल्ज़ाम से डर जाते हैं
तोप ख़ंजर ये तो बेकार की चीज़े हैं यार
जिनको डरना हो वो आराम से डर जाते हैं
इतनी दहशत है कि अब भी तिरे कूचे के लोग
क्या बताऊँ मिरे हमनाम से डर जाते हैं
वैसे को कहते हैं घर क्यूँ नहीं आता है तू
आता हूँ तो मिरे विश्राम से डर जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mehfil Shayari Shayari