mohabbat mein jab aankh ghamgeen hogi | मोहब्बत में जब आँख ग़मगीन होगी

  - Prashant Kumar

mohabbat mein jab aankh ghamgeen hogi
tire saath phir raat rangeen hogi

mohabbat ka ilzaam sar par na lena
wagarana muhabbat kii tamkeen hogi

vo khanjar chalaate hue mujhse bola
ki rona nahin varna taskin hogi

are yaar jaldi mein le aaya bottle
tire paas thodi sii namkeen hogi

yahi soch kar jaam uthaata nahin hoon
tumhaari nigaahon kii tauheen hogi

tire saath hoon is lapete mein main bhi
meri zindagi bhi to ghamgeen hogi

agar koii munsif ye kah de ghalat hoon
to uski adaalat mein tauheen hogi

मोहब्बत में जब आँख ग़मगीन होगी
तिरे साथ फिर रात रंगीन होगी

मोहब्बत का इल्ज़ाम सर पर न लेना
वगरना मुहब्बत की तमकीन होगी

वो ख़ंजर चलाते हुए मुझसे बोला
कि रोना नहीं वरना तस्कीन होगी

अरे यार जल्दी में ले आया बोतल
तिरे पास थोड़ी सी नमकीन होगी

यही सोच कर जाम उठाता नहीं हूँ
तुम्हारी निगाहों की तौहीन होगी

तिरे साथ हूँ इस लपेटे में मैं भी
मिरी ज़िंदगी भी तो ग़मगीन होगी

अगर कोई मुंसिफ़ ये कह दे ग़लत हूँ
तो उसकी अदालत में तौहीन होगी

  - Prashant Kumar

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari