maan le baat meri dil mein basaa le mujhko | मान ले बात मिरी दिल में बसा ले मुझको

  - Prashant Kumar

maan le baat meri dil mein basaa le mujhko
apni duniya mein hamesha ko bula le mujhko

are aise mein kahaan jaaun badi garmi hai
tu hi bijne se hawa karke sula le mujhko

wahi lamha kahin phir yaad na aa jaaye mujhe
koii aisa kare baaton mein laga le mujhko

zindagi thak sa gaya hoon tujhe jeete jeete
chhod kal kii abhi duniya se utha le mujhko

zahar to hoon main p surme kii tarah hoon kuchh kuchh
yun na ho tu kahin aankhon mein laga le mujhko

kya karoon bol dikhaai nahin deta hai to
maine thodi kaha palkon pe bitha le mujhko

yun na dekha karo tum dar laga rehta koii
naam lekar ke tumhaara na bula le mujhko

khoob achhe se mohabbat tujhe samjha doonga
agar ik baar akela mein bula le mujhko

are duniya mein to main ghoomta hi rehta hoon
jaan-e-man ek dafa dil mein ghuma le mujhko

vaise to tune kahin ka hi nahin chhodaa hai
aaj rone ke bahaane se bula le mujhko

मान ले बात मिरी दिल में बसा ले मुझको
अपनी दुनिया में हमेशा को बुला ले मुझको

अरे ऐसे में कहाँ जाऊँ बड़ी गर्मी है
तू ही बिजने से हवा करके सुला ले मुझको

वही लम्हा कहीं फिर याद न आ जाए मुझे
कोई ऐसा करे बातों में लगा ले मुझको

ज़िंदगी थक सा गया हूँ तुझे जीते जीते
छोड़ कल की अभी दुनिया से उठा ले मुझको

ज़हर तो हूँ मैं प सुरमे की तरह हूँ कुछ कुछ
यूँ न हो तू कहीं आँखों में लगा ले मुझको

क्या करूँ बोल दिखाई नहीं देता है तो
मैंने थोड़ी कहा पलकों पे बिठा ले मुझको

यूँ न देखा करो तुम डर लगा रहता कोई
नाम लेकर के तुम्हारा न बुला ले मुझको

ख़ूब अच्छे से मोहब्बत तुझे समझा दूँगा
अगर इक बार अकेले में बुला ले मुझको

अरे दुनिया में तो मैं घूमता ही रहता हूँ
जान-ए-मन एक दफ़ा दिल में घुमा ले मुझको

वैसे तो तूने कहीं का ही नहीं छोड़ा है
आज रोने के बहाने से बुला ले मुझको

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari