ki jis janpad mein tum rahtiin usi janpad mein ham rahte | कि जिस जनपद में तुम रहतीं उसी जनपद में हम रहते - Prashant Kumar

ki jis janpad mein tum rahtiin usi janpad mein ham rahte
magar ye baat alag hai haan tumhaare saath kam rahte

tumhein gham-khwaar ne paala tabhi khushiyaan samajh aati
hamein khushiyon se tauba hai hamaare saath gham rahte

khabar unki sunaayen kya nikalte hi nahin hain ab
mohabbat khoob karte hain magar nazaron mein kam rahte

qayamat tak nahin honge kabhi beemaar ab to ham
hamaare saath mein hardam haseen zulfon ke kham rahte

chale aao bina hi hichkichahat jhopde mein ab
are koii nahin rehta hai tum rahte ho ham rahte

कि जिस जनपद में तुम रहतीं उसी जनपद में हम रहते
मगर ये बात अलग है हाँ तुम्हारे साथ कम रहते

तुम्हें ग़म-ख़्वार ने पाला तभी ख़ुशियाँ समझ आतीं
हमें ख़ुशियों से तौबा है हमारे साथ ग़म रहते

ख़बर उनकी सुनाऍं क्या निकलते ही नहीं हैं अब
मोहब्बत ख़ूब करते हैं मगर नज़रों में कम रहते

क़यामत तक नहीं होंगे कभी बीमार अब तो हम
हमारे साथ में हरदम हसीं ज़ुल्फ़ों के ख़म रहते

चले आओ बिना ही हिचकिचाहट झोपड़े में अब
अरे कोई नहीं रहता है तुम रहते हो हम रहते

- Prashant Kumar
0 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari