be-wajah mujhko sataana chhod de
raat mein chhat par bulaana chhod de
is qadar mujhko jalana chhod de
saath mein ghairon ke aana chhod de
pyaar karti hai to phir izhaar kar
ya palat ke muskurana chhod de
cheent kii kurtee mujhe achhi lage
cheent kii kurtee mein aana chhod de
baat tu kar ya na kar mujhse magar
roz ke nakhre dikhaana chhod de
pehle tu mazbooriyaan to jaan le
bewafa aise bataana chhod de
tu mera deedaar karne ke liye
nal ka hattha bhi bajana chhod de
likh ke kaaghaz par suna de haal-e-dil
yun ishaaron mein bataana chhod de
ya mujhe bhi apne khwaabon mein bula
ya mere khwaabon mein aana chhod de
haal-e-dil kar de bayaan ya mera naam
haath par likhkar mitaana chhod de
ya manaa kar de mohabbat hai nahin
ya meri khidki par aana chhod de
ya meri ho ja hamesha ke liye
ya mujhe apna bataana chhod de
बे-वजह मुझको सताना छोड़ दे
रात में छत पर बुलाना छोड़ दे
इस क़दर मुझको जलाना छोड़ दे
साथ में ग़ैरों के आना छोड़ दे
प्यार करती है तो फिर इज़हार कर
या पलट के मुस्कुराना छोड़ दे
छींट की कुर्ती मुझे अच्छी लगे
छींट की कुर्ती में आना छोड़ दे
बात तू कर या न कर मुझसे मगर
रोज़ के नख़रे दिखाना छोड़ दे
पहले तू मज़बूरियाँ तो जान ले
बेवफ़ा ऐसे बताना छोड़ दे
तू मिरा दीदार करने के लिए
नल का हत्था भी बजाना छोड़ दे
लिख के काग़ज़ पर सुना दे हाल-ए-दिल
यूँ इशारों में बताना छोड़ दे
या मुझे भी अपने ख़्वाबों में बुला
या मिरे ख़्वाबों में आना छोड़ दे
हाल-ए-दिल कर दे बयाँ या मेरा नाम
हाथ पर लिखकर मिटाना छोड़ दे
या मना कर दे मोहब्बत है नहीं
या मिरी खिड़की पर आना छोड़ दे
या मिरी हो जा हमेशा के लिए
या मुझे अपना बताना छोड़ दे
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari