husn par jab bhi ghazal kehta hoon
husn waalon ko naval kehta hoon
toot padti hain bahaarein mujhpar
jab tire lab ko kanwal kehta hoon
kya wahi aankh hai ye saawan mein
jisko akshar main nazl kehta hoon
sun fasaad ab koi bhi ho chahe
main to tera hi jadal kehta hoon
har jagah chaand ka charcha hai aur
main sitaaron pe ghazal kehta hoon
हुस्न पर जब भी ग़ज़ल कहता हूँ
हुस्न वालों को नवल कहता हूँ
टूट पड़ती हैं बहारें मुझपर
जब तिरे लब को कँवल कहता हूँ
क्या वही आँख है ये सावन में
जिसको अक्सर मैं नज़ल कहता हूँ
सुन फ़साद अब कोई भी हो चाहे
मैं तो तेरा ही जदल कहता हूँ
हर जगह चाँद का चर्चा है और
मैं सितारों पे ग़ज़ल कहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Violence Shayari Shayari