chore jawaan hokar har baat taalte hain
dhar taq mein kitaaben galiyon mein haalate hain
ab kya bataayein tumko vo itne na-samajh hain
uple kii borsi mein zamzam khangaalte hain
bachpan kii umr mein hai pachpan ka kaar-naama
rukti nahin hai chunni khanjar uchaalte hain
hamko mitaane waale khud ka khayal kar tu
rooh-e-ravaan mein tak ham baarood paalte hain
aise nahin mitega naam o nishaan hamaara
ye maut ke farishte ungli pe haalate hain
छोरे जवान होकर हर बात टालते हैं
धर ताक़ में किताबें गलियों में हालते हैं
अब क्या बताएँ तुमको वो इतने ना-समझ हैं
उपले की बोरसी में ज़मज़म खँगालते हैं
बचपन की उम्र में है पचपन का कार-नामा
रुकती नहीं है चुन्नी ख़ंजर उछालते हैं
हमको मिटाने वाले ख़ुद का ख़याल कर तू
रूह-ए-रवाँ में तक हम बारूद पालते हैं
ऐसे नहीं मिटेगा नाम ओ निशाँ हमारा
ये मौत के फ़रिश्ते उँगली पे हालते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Qabr Shayari Shayari