maaloom hai rehta hoon gulaabon kii gali mein | मालूम है रहता हूँ गुलाबों की गली में

  - Prashant Kumar

maaloom hai rehta hoon gulaabon kii gali mein
tum phir bhi mujhe dhoondh rahe moongphali mein

sadiyon se jise khwaab mein hi dekh rahe the
mehboob vo rehta hai ab apni hi gali mein

mujhko tire andar vo sabhi gun nazar aaye
jo raam bharose mein mile raam-kali mein

main baant ke khaata hoon koii cheez ho chahe
vo dil mein samaane lage ik gud kii dali mein

so jaayen sabhi chaar baje karke ishaara
chupke se bula lena sajan dil kii gali mein

lagta hai inhen aur koii kaam nahin hai
bas jhaankte rahte hain sabhi meri gali mein

मालूम है रहता हूँ गुलाबों की गली में
तुम फिर भी मुझे ढूँढ रहे मूँगफली में

सदियों से जिसे ख़्वाब में ही देख रहे थे
महबूब वो रहता है अब अपनी ही गली में

मुझको तिरे अंदर वो सभी गुन नज़र आए
जो राम भरोसे में मिले राम-कली में

मैं बाँट के खाता हूँ कोई चीज़ हो चाहे
वो दिल में समाने लगे इक गुड़ की डली में

सो जाएँ सभी चार बजे करके इशारा
चुपके से बुला लेना सजन दिल की गली में

लगता है इन्हें और कोई काम नहीं है
बस झाँकते रहते हैं सभी मेरी गली में

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari