kisi ki aankh se dekho kahaan laaya gaya hoon main
jahaan jo khwaab dekha tha wahin paaya gaya hoon main
meri taqdeer ka har pej lagta hai ki khaali hai
jahaan fenka gaya tha phir wahin laaya gaya hoon main
tiri aankhon ki mitti ne mujhe ganda kiya hi kyun
bade din baad mushkil se to nehl
aaya gaya hoon main
are apna batakar log akshar loot lete hain
isee chakkar mein ghar se aaj uthvaaya gaya hoon main
किसी की आँख से देखो कहाँ लाया गया हूँ मैं
जहाँ जो ख़्वाब देखा था वहीं पाया गया हूँ मैं
मिरी तक़दीर का हर पेज लगता है कि ख़ाली है
जहाँ फेंका गया था फिर वहीं लाया गया हूँ मैं
तिरी आँखों की मिट्टी ने मुझे गंदा किया ही क्यूँ
बड़े दिन बाद मुश्किल से तो नहलाया गया हूँ मैं
अरे अपना बताकर लोग अक्सर लूट लेते हैं
इसी चक्कर में घर से आज उठवाया गया हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Duniya Shayari Shayari