muskuraane se tumhaare phool sehra mein khila hai | मुस्कुराने से तुम्हारे फूल सहरा में खिला है - Prashant Kumar

muskuraane se tumhaare phool sehra mein khila hai
aaj pehli baar koii hum-baghal tum sa mila hai

manzilen bhi be-khabar hain hum-safar bhi be-khabar hain
koii to hamko bataaye kiska aisa qaafila hai

har taraf mashhoor thi chaara-gari teri to phir bhi
dekh udhadta ja raha hai zakhm-e-dil kaisa sila hai

jang ho ya ho mohabbat ham kisoo se kam nahin hain
ham nahin bichhdenge aise umr-bhar ka silsila hai

dekhte hain yaad bhi ab kaise aayegi kisoo kii
ham kahin par mubtila hain dil kahin par mubtila hai

मुस्कुराने से तुम्हारे फूल सहरा में खिला है
आज पहली बार कोई हम-बग़ल तुम सा मिला है

मंज़िलें भी बे-ख़बर हैं हम-सफ़र भी बे-ख़बर हैं
कोई तो हमको बताए किसका ऐसा क़ाफ़िला है

हर तरफ़ मशहूर थी चारा-गरी तेरी तो फिर भी
देख उधड़ता जा रहा है ज़ख़्म-ए-दिल कैसा सिला है

जंग हो या हो मोहब्बत हम किसू से कम नहीं हैं
हम नहीं बिछड़ेंगे ऐसे उम्र-भर का सिलसिला है

देखते हैं याद भी अब कैसे आएगी किसू की
हम कहीं पर मुब्तिला हैं दिल कहीं पर मुब्तिला है

- Prashant Kumar
1 Like

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari