har taraf tu nazar aata hai mujhe
aur koii na sataata hai mujhe
main tiri jaan bana baitha hoon
aur tu chhod ke jaata hai mujhe
koii rishta nahin mera usse
ajnabi hoke bulaata hai mujhe
ye bhi kehta hai mera koii nahin
aur apna bhi bataata hai mujhe
sabhi ka dushman-e-jaani hoon main
aur vo jaan bataata hai mujhe
khud ko kehta hai suhan-var naami
sher mera hi sunaata hai mujhe
हर तरफ़ तू नज़र आता है मुझे
और कोई न सताता है मुझे
मैं तिरी जान बना बैठा हूँ
और तू छोड़ के जाता है मुझे
कोई रिश्ता नहीं मेरा उससे
अजनबी होके बुलाता है मुझे
ये भी कहता है मिरा कोई नहीं
और अपना भी बताता है मुझे
सभी का दुश्मन-ए-जानी हूँ मैं
और वो जान बताता है मुझे
ख़ुद को कहता है सुख़न-वर नामी
शेर मेरा ही सुनाता है मुझे
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari