muddaton se yahan thehra bhi nahin hai koii
jhopde mein diya jalta bhi nahin hai koii
phir khuda kyun na mare shokh ada par teri
log zinda bhi hain zinda bhi nahin hai koii
seekhen to aapse andaaz-e-bayaan karna sab
baat poori kahi samjha bhi nahin hai koii
ghoom kar dekh liya saare zamaane mein kal
aapke jaisa to chehra bhi nahin hai koii
soch len kaise bata dil ko lagaane kii ab
dekhkar hamko to hansta bhi nahin hai koii
मुद्दतों से यहाँ ठहरा भी नहीं है कोई
झोपड़े में दिया जलता भी नहीं है कोई
फिर ख़ुदा क्यूँ न मरे शोख़ अदा पर तेरी
लोग ज़िंदा भी हैं ज़िंदा भी नहीं है कोई
सीखें तो आपसे अंदाज़-ए-बयाँ करना सब
बात पूरी कही समझा भी नहीं है कोई
घूम कर देख लिया सारे ज़माने में कल
आपके जैसा तो चेहरा भी नहीं है कोई
सोच लें कैसे बता दिल को लगाने की अब
देखकर हमको तो हँसता भी नहीं है कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Nazakat Shayari Shayari