agar tumse mohabbat ham nahin karte to kya hota
rapat thaane mein likhvate shuroo se faisla hota
hamein is baar baahon mein agar khud hi bula lete
na aisi baat hi hoti na ye masla khada hota
manao khair kya karna nafa-nuqsaan kii baatein
agar dil ham nahin lete kabade mein pada hota
agar pehchaan lete door se hi dekh kar hamko
tamasha bhi nahin hota na ye jamghat laga hota
agar mera labaada zeb-e-tan karke nahin aata
na phir ilzaam aata koii zindaan se juda hota
अगर तुमसे मोहब्बत हम नहीं करते तो क्या होता
रपट थाने में लिखवाते शुरू से फ़ैसला होता
हमें इस बार बाहों में अगर ख़ुद ही बुला लेते
न ऐसी बात ही होती न ये मसला खड़ा होता
मनाओ ख़ैर क्या करना नफ़ा-नुक़सान की बातें
अगर दिल हम नहीं लेते कबाड़े में पड़ा होता
अगर पहचान लेते दूर से ही देख कर हमको
तमाशा भी नहीं होता न ये जमघट लगा होता
अगर मेरा लबादा ज़ेब-ए-तन करके नहीं आता
न फिर इल्ज़ाम आता कोई ज़िंदाँ से जुदा होता
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari