dil lagaane se zara pehle bata to dete
kuchh na kuchh ishq mohabbat mein sikha to dete
are marham na sahi to chalo khanjar hi sahi
dard-e-dil kam nahin kar sakte badha to dete
khoob maahir the idhar kii tum udhar karne mein
baat kar sakte nahin khatm badhaa to dete
chaahne waale mere duniya mein kam thodi the
dil lagaane kii mujhe koii saza to dete
ishq aaya hi nahin karna tumhein aaj talak
the agar ishq mein naadaan bata to dete
दिल लगाने से ज़रा पहले बता तो देते
कुछ न कुछ इश्क़ मोहब्बत में सिखा तो देते
अरे मरहम न सही तो चलो ख़ंजर ही सही
दर्द-ए-दिल कम नहीं कर सकते बढ़ा तो देते
ख़ूब माहिर थे इधर की तुम उधर करने में
बात कर सकते नहीं ख़त्म बढा तो देते
चाहने वाले मिरे दुनिया में कम थोड़ी थे
दिल लगाने की मुझे कोई सज़ा तो देते
इश्क़ आया ही नहीं करना तुम्हें आज तलक
थे अगर इश्क़ में नादान बता तो देते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Justice Shayari Shayari