aankh hi aankh mein usloob badal jaate hain | आँख ही आँख में उस्लूब बदल जाते हैं - Prashant Kumar

aankh hi aankh mein usloob badal jaate hain
ek hi raat mein mehboob badal jaate hain

paath haq ka vo zamaane ko padhaate firte
sukhan-fahmon kii meri tube badal jaate hain

haan wahi log badalte hain thikaana akshar
sar se jo paanv talak khoob badal jaate hain

khud ko jo log mohabbat ka khuda kahte hain
agle din unke hi mansoob badal jaate hain

saalon lag jaate the deedaar mein hi pehle ab
haath ke haath ki mehboob badal jaate hain

yun hi bas gardish-e-ayyaam se yaad aaya hai
kyun prashaant aaj ke maktub badal jaate hain

आँख ही आँख में उस्लूब बदल जाते हैं
एक ही रात में महबूब बदल जाते हैं

पाठ हक़ का वो ज़माने को पढ़ाते फिरते
साइकिल की मिरी ट्यूब बदल जाते हैं

हाँ वही लोग बदलते हैं ठिकाना अक्सर
सर से जो पाँव तलक ख़ूब बदल जाते हैं

ख़ुद को जो लोग मोहब्बत का ख़ुदा कहते हैं
अगले दिन उनके ही मंसूब बदल जाते हैं

सालों लग जाते थे दीदार में ही पहले अब
हाथ के हाथ कि महबूब बदल जाते हैं

यूँ ही बस गर्दिश-ए-अय्याम से याद आया है
क्यूँ 'प्रशांत' आज के मक्तूब बदल जाते हैं

- Prashant Kumar
0 Likes

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari