in mast nigaahon mein mizaan hazaaron hain
logon ko parkhne ke gun maan hazaaron hain
ro-ro ke mujhe hamdam dhundooge kahaan aise
is naam se duniya mein insaan hazaaron hain
tum dafn karo dil mein to baat bane koi
dharti pe khabar to hai shamshaan hazaaron hain
vishwas karoon aise to kis ke khuda par main
jis ghar mein jidhar dekho bhagwaan hazaaron hain
ab dil ko lagaane ki tu baat na kar mujhpe
pehle hi muhabbat ke farmaan hazaaron hai
इन मस्त निगाहों में मीज़ान हज़ारों हैं
लोगों को परखने के गुण मान हज़ारों हैं
रो-रो के मुझे हमदम ढूँढोगे कहाँ ऐसे
इस नाम से दुनिया में इंसान हज़ारों हैं
तुम दफ़्न करो दिल में तो बात बने कोई
धरती पे ख़बर तो है शमशान हज़ारों हैं
विश्वास करूँ ऐसे तो किस के ख़ुदा पर मैं
जिस घर में जिधर देखो भगवान हज़ारों हैं
अब दिल को लगाने की तू बात न कर मुझपे
पहले ही मुहब्बत के फ़रमान हज़ारों है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Aadmi Shayari Shayari