padh-likh gaye magar kisi qaabil nahin hue
mere watan ke log abhi aaqil nahin hue
maare lataade phir rahe saare jahaan mein
lekin hamaari bazm mein shaamil nahin hue
jo zindagi ke taur tariqe ko padh sako
tum log itne to abhi qaabil nahin hue
dande se haankte ho sabhi ko jab ek hi
mayyat mein kyun faqeer kii shaamil nahin hue
sabko jab ik nigaah se hi dekhte ho tum
chaukhat pe kyun chamaar kii daakhil nahin hue
mayyat mein aasmaan zameen sab shareek the
dair-o-haram ke log hi shaamil nahin hue
ghuste hain jhopde mein to chaati ko taankar
par fitna mein kabhi daakhil nahin hue
ham jaise har faqeer kii qismat sanwaar do
bekar mein tum itne bhi kaamil nahin hue
khushiyaan luta kar aa rahe saare jahaan mein
kuchh gham the khush-naseeb se haasil nahin hue
पढ़-लिख गए मगर किसी क़ाबिल नहीं हुए
मेरे वतन के लोग अभी 'आक़िल नहीं हुए
मारे लताड़े फिर रहे सारे जहान में
लेकिन हमारी बज़्म में शामिल नहीं हुए
जो ज़िंदगी के तौर तरीक़े को पढ़ सको
तुम लोग इतने तो अभी क़ाबिल नहीं हुए
डंडे से हाँकते हो सभी को जब एक ही
मय्यत में क्यूँ फ़क़ीर की शामिल नहीं हुए
सबको जब इक निगाह से ही देखते हो तुम
चौखट पे क्यूँ चमार की दाख़िल नहीं हुए
मय्यत में आसमान ज़मीं सब शरीक थे
दैर-ओ-हरम के लोग ही शामिल नहीं हुए
घुसते हैं झोपड़े में तो छाती को तानकर
पर काख़-ए-उमरा में कभी दाख़िल नहीं हुए
हम जैसे हर फ़क़ीर की क़िस्मत सँवार दो
बेकार में तुम इतने भी कामिल नहीं हुए
ख़ुशियाँ लुटा कर आ रहे सारे जहान में
कुछ ग़म थे ख़ुश-नसीब से हासिल नहीं हुए
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari