poori duniya ne mujhe dil mein basaa rakkha hai
aur palkon pe mera naam likha rakkha hai
kaun waqif nahin haalaat se mere ye bata
usne duniya ko mera haal suna rakkha hai
mujhe pehle to saza gham kii sunaai usne
aur ab teer nigaahon se chala rakkha hai
kabhi sehra mein khile phool kabhi baahon mein
tiri zulfon ne bhi jaadu sa chala rakkha hai
ek uske siva haq mujhpe kisi ka bhi nahin
usne dil ka mere bai-naama kara rakkha hai
पूरी दुनिया ने मुझे दिल में बसा रक्खा है
और पलकों पे मिरा नाम लिखा रक्खा है
कौन वाक़िफ़ नहीं हालात से मेरे ये बता
उसने दुनिया को मिरा हाल सुना रक्खा है
मुझे पहले तो सज़ा ग़म की सुनाई उसने
और अब तीर निगाहों से चला रक्खा है
कभी सहरा में खिले फूल कभी बाहों में
तिरी ज़ुल्फ़ों ने भी जादू सा चला रक्खा है
एक उसके सिवा हक़ मुझपे किसी का भी नहीं
उसने दिल का मिरे बै-नामा करा रक्खा है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari