jab tak hai suno saans tabhi tak ye jahaan hai
phir baad mein kya kisko khabar kaun kahaan hai
jo shakhs zamaane mein agar jhuk ke raha hai
qadmon mein usi ke to are saara jahaan hai
koii bhi mohabbat ka abhi zikr na karna
kyun paas mere baitha hua saara jahaan hai
le kaam se pehle hi sabhi zaaf gaye hain
ab aaj ke insaan mein vo jaan kahaan hai
mehmaan hain do din ke sabhi jaayenge ik din
kuchh aur nahin bhai yahi umr-e-ravaan hai
जब तक है सुनो साँस तभी तक ये जहाँ है
फिर बाद में क्या किसको ख़बर कौन कहाँ है
जो शख़्स ज़माने में अगर झुक के रहा है
क़दमों में उसी के तो अरे सारा जहाँ है
कोई भी मोहब्बत का अभी ज़िक्र न करना
क्यूँ पास मिरे बैठा हुआ सारा जहाँ है
ले काम से पहले ही सभी ज़ाफ़ गए हैं
अब आज के इंसान में वो जान कहाँ है
मेहमान हैं दो दिन के सभी जाएँगे इक दिन
कुछ और नहीं भाई यही उम्र-ए-रवाँ है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari