mere alfaaz sab ke sab abhi se kaan mein rakhna | मिरे अल्फ़ाज़ सब के सब अभी से कान में रखना

  - Prashant Kumar

mere alfaaz sab ke sab abhi se kaan mein rakhna
agar bolo to pehle shabd ko mizaan mein rakhna

mere hisse ki roti bhi ghareebon ko khila dena
agar bhookha rahe koi to mujhko khwaan mein rakhna

agar ahl ae watan se hai to itni si tamannaa hai
marooun chahe kahi bhi kabr hindustan mein rakhna

idhar dekho ishaara aandhiyon ko karne se pehle
barabar mein tumhaara ghar hai ye bhi dhyaan mein rakhna

mere haalaat to koi puraani cheez jaise hain
mujhe ghar ke purane hi kisi samaan mein rakhna

yahi sab dekhkar bole ki main murdon ke jaisa hoon
yahan se door le jaao kahi shamshaan mein rakhna

मिरे अल्फ़ाज़ सब के सब अभी से कान में रखना
अगर बोलो तो पहले शब्द को मीज़ान में रखना

मिरे हिस्से की रोटी भी ग़रीबों को खिला देना
अगर भूखा रहे कोई तो मुझको ख़्वान में रखना

अगर अहल ए वतन से है तो इतनी सी तमन्ना है
मरूँ चाहे कहीं भी कब्र हिंदुस्तान में रखना

इधर देखो इशारा आँधियों को करने से पहले
बराबर में तुम्हारा घर है ये भी ध्यान में रखना

मिरे हालात तो कोई पुरानी चीज़ जैसे हैं
मुझे घर के पुराने ही किसी सामान में रखना

यही सब देखकर बोले कि मैं मुर्दों के जैसा हूँ
यहाँ से दूर ले जाओ कहीं शमशान में रखना

  - Prashant Kumar

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari