haseen se haseen baahon mein hi jhoolta hoon main
jo dil se dekhta hai bas usi ko soojhtaa hoon main
tire liye hi maara maara phir raha hoon aajkal
tujhi ko raat din gali gali mein poochta hoon main
jahaan se kaho kabhi meri bhi dekhbhaal kar
isi kii dekh rekh mein to roz tootaa hoon main
firaq hai visaal hai bahut kharab haal hai
ye sab tira kamaal hai tabhi to roothta hoon main
guzar-basar muhaal hai ki roti ka sawaal hai
kate hue hain haath phir bhi kaam dhoondhta hoon main
khuda ko maanta hoon par tujhe khuda ka vaasta
kabhi bhi ye na poochiyo ki kisko poojta hoon main
jo zindagi ko tumne meri daav par laga diya
kahaan kami rahi wafa mein tumse poochta hoon main
tu bol mat na yaar uske haath mein gulaal hai
gar ek baar fans gaya to phir na chhoota hoon main
jo mujhse bolta hai bas usi se bolta hoon main
jo mujhko poochta hai bas usi ko bujhta hoon main
हसीन से हसीन बाहों में ही झूलता हूँ मैं
जो दिल से देखता है बस उसी को सूझता हूँ मैं
तिरे लिए ही मारा मारा फिर रहा हूँ आजकल
तुझी को रात दिन गली गली में पूछता हूँ मैं
जहान से कहो कभी मिरी भी देखभाल कर
इसी की देख रेख में तो रोज़ टूटता हूँ मैं
फ़िराक़ है विसाल है बहुत ख़राब हाल है
ये सब तिरा कमाल है तभी तो रूठता हूँ मैं
गुज़र-बसर मुहाल है कि रोटी का सवाल है
कटे हुए हैं हाथ फिर भी काम ढूँढता हूँ मैं
ख़ुदा को मानता हूँ पर तुझे ख़ुदा का वास्ता
कभी भी ये न पूछियो कि किसको पूजता हूँ मैं
जो ज़िंदगी को तुमने मेरी दाव पर लगा दिया
कहाँ कमी रही वफ़ा में तुमसे पूछता हूँ मैं
तू बोल मत न यार उसके हाथ में गुलाल है
गर एक बार फँस गया तो फिर न छूटता हूँ मैं
जो मुझसे बोलता है बस उसी से बोलता हूँ मैं
जो मुझको पूछता है बस उसी को बूझता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Rishta Shayari Shayari