khud kii nigaah mein hi mera ghar talash kar | ख़ुद की निगाह में ही मिरा घर तलाश कर - Prashant Kumar

khud kii nigaah mein hi mera ghar talash kar
ghar par nahin miloon to tu chhat par talash kar

meri sukhan-taraaziyaan tere liye nahin
apne liye tu aur suhan-var talash kar

aise nahin bujhegi hai sadiyon kii tishnagi
mere liye alag se samundar talash kar

rone se to kisi ko bhi milta nahin hoon main
bas ek baar tu mujhe hans kar talash kar

jo zindagi ke bandhanon se mukt kar sake
aisa jahaan kahin mile patthar talash kar

har qaum se jo mazhab-o-millat se ho juda
aisa prashaant ke liye lashkar talash kar

ख़ुद की निगाह में ही मिरा घर तलाश कर
घर पर नहीं मिलूँ तो तू छत पर तलाश कर

मेरी सुख़न-तराज़ियाँ तेरे लिए नहीं
अपने लिए तू और सुख़न-वर तलाश कर

ऐसे नहीं बुझेगी है सदियों की तिश्नगी
मेरे लिए अलग से समुंदर तलाश कर

रोने से तो किसी को भी मिलता नहीं हूँ मैं
बस एक बार तू मुझे हँस कर तलाश कर

जो ज़िंदगी के बंधनों से मुक्त कर सके
ऐसा जहाँ कहीं मिले पत्थर तलाश कर

हर क़ौम से जो मज़हब-ओ-मिल्लत से हो जुदा
ऐसा प्रशांत के लिए लश्कर तलाश कर

- Prashant Kumar
0 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari