mere aansuon mein naha kar to dekho
koii dil pe marham laga kar to dekho
are muft mein hi milengi duaaein
gharibon ko roti khilaakar to dekho
khudi amn dil mein ubharne lagega
koii haq ka paighaam gaakar to dekho
kisi din yahi daar-ul-amn hoga
ye mazhab ye qaumen mita kar to dekho
humeen ham dikhhenge tumhein anjuman mein
ye aankhon se chashma hata kar to dekho
मिरे आँसुओं में नहा कर तो देखो
कोई दिल पे मरहम लगा कर तो देखो
अरे मुफ़्त में ही मिलेंगी दुआएँ
ग़रीबों को रोटी खिलाकर तो देखो
ख़ुदी अम्न दिल में उभरने लगेगा
कोई हक़ का पैग़ाम गाकर तो देखो
किसी दिन यही दार-उल-अम्न होगा
ये मज़हब ये क़ौमें मिटा कर तो देखो
हमीं हम दिखेंगे तुम्हें अंजुमन में
ये आँखों से चश्मा हटा कर तो देखो
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari