may-kada phir se sajaaya jaaye
husn waalon ko bulaaya jaaye
mil gai ab bhi zamaanat usko
phir se ilzaam lagaaya jaaye
jurm ka qatl tire haathon ho
phir sar-e-aam dikhaaya jaaye
kya karein ashk nikalte hi nahin
zakhm ab phir se dukhaaya jaaye
husn waalon se kaho lab ka jaam
waqt se pehle pilaaya jaaye
kya karein jaan nikalti hi nahin
ab sar-e-daar chhadaaya jaaye
मय-कदा फिर से सजाया जाए
हुस्न वालों को बुलाया जाए
मिल गई अब भी ज़मानत उसको
फिर से इल्ज़ाम लगाया जाए
जुर्म का क़त्ल तिरे हाथों हो
फिर सर-ए-आम दिखाया जाए
क्या करें अश्क निकलते ही नहीं
ज़ख़्म अब फिर से दुखाया जाए
हुस्न वालों से कहो लब का जाम
वक़्त से पहले पिलाया जाए
क्या करें जान निकलती ही नहीं
अब सर-ए-दार चढ़ाया जाए
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari