man mutaabiq kisi ko kaam nahin milta hai | मन मुताबिक़ किसी को काम नहीं मिलता है - Prashant Kumar

man mutaabiq kisi ko kaam nahin milta hai
mil bhi jaaye to phir aaraam nahin milta hai

ghoom kar saara jahaan dekh liya mere siva
koii aashiq mujhe badnaam nahin milta hai

chhote banke raho bardaasht bhi karna seekho
aisi baaton se kabhi naam nahin milta hai

baat jisse bhi karo saaf karo seedhi karo
ulti baaton se kahin kaam nahin milta hai

kya karoon waqt pe main roz dava leta hoon
par mere dard mein aaraam nahin milta hai

soory chhipte hi sabhi ghar pe chale jaate hain
ik parinda bhi sar-e-shaam nahin milta hai

मन मुताबिक़ किसी को काम नहीं मिलता है
मिल भी जाए तो फिर आराम नहीं मिलता है

घूम कर सारा जहाँ देख लिया मेरे सिवा
कोई आशिक़ मुझे बदनाम नहीं मिलता है

छोटे बनके रहो बर्दाश्त भी करना सीखो
ऐसी बातों से कभी नाम नहीं मिलता है

बात जिससे भी करो साफ़ करो सीधी करो
उल्टी बातों से कहीं काम नहीं मिलता है

क्या करूँ वक़्त पे मैं रोज़ दवा लेता हूँ
पर मिरे दर्द में आराम नहीं मिलता है

सूर्य छिपते ही सभी घर पे चले जाते हैं
इक परिंदा भी सर-ए-शाम नहीं मिलता है

- Prashant Kumar
2 Likes

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari