kabhi to aankh ka jaadu kabhi ye baal ki khushboo | कभी तो आँख का जादू कभी ये बाल की ख़ुशबू - Prashant Kumar

kabhi to aankh ka jaadu kabhi ye baal ki khushboo
kabhi behosh kar deti hai mujhko shaal ki khushboo

lab ae taqreer mein maujen bahaar ae baagh ae aalam ki
suna hai door tak jaati hai tere qaal ki khushboo

chale jaayenge zakhmaan paak khud hote hue mere
luta de tu agar mujhpe usi roomaal ki khushboo

tire honton ka kya kehna dava mere marz ki hain
agar beemaar karti hai to tere gaal ki khushboo

kahi koi musaafir raat mein rasta bhatk jaaye
to usko ghar talak pahuncha ke aati chaal ki khushboo

fati si ek chadar thi mujhe jismein sulaaya tha
usi chadar se aati hai pitaa ke haal ki khushboo

कभी तो आँख का जादू कभी ये बाल की ख़ुशबू
कभी बेहोश कर देती है मुझको शाल की ख़ुशबू

लब ए तक़रीर में मौजें बहार ए बाग़ ए 'आलम की
सुना है दूर तक जाती है तेरे क़ाल की ख़ुशबू

चले जाएँगे जख़्माँ पाक़ ख़ुद होते हुए मेरे
लुटा दे तू अगर मुझपे उसी रूमाल की ख़ुशबू

तिरे होंटों का क्या कहना दवा मेरे मरज़ की हैं
अगर बीमार करती है तो तेरे गाल की ख़ुशबू

कहीं कोई मुसाफ़िर रात में रस्ता भटक जाए
तो उसको घर तलक पहुँचा के आती चाल की ख़ुशबू

फटी सी एक चादर थी मुझे जिसमें सुलाया था
उसी चादर से आती है पिता के हाल की ख़ुशबू

- Prashant Kumar
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari