chal wafa ka zikr karke dekhte hain
husn waalon par ki mar ke dekhte hain
aatish ae sayyaal hain uski nigaahen
so use khurshid dar ke dekhte hain
paak hote zakham sabke usko chhukar
phir to ham bhi haath dhar ke dekhte hain
kya bataaun ab to dast-e-naazneen mein
chaandnaa bhi jaan dhar ke dekhte hain
ye suna hai mo'jize uski kamar ke
chupke chupke log ghar ke dekhte hain
चल वफ़ा का ज़िक्र करके देखते हैं
हुस्न वालों पर कि मर के देखते हैं
आतिश ए सय्याल हैं उसकी निगाहें
सो उसे ख़ुर्शीद डर के देखते हैं
पाक़ होते ज़ख़्म सबके उसको छूकर
फिर तो हम भी हाथ धर के देखते हैं
क्या बताऊँ अब तो दस्त-ए-नाज़नीं में
चाँदना भी जान धर के देखते हैं
ये सुना है मो'जिज़े उसकी कमर के
चुपके चुपके लोग घर के देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mehboob Shayari Shayari