maqtoob mohabbat ke sabhi haath mein honge
charche to hamaare hi har ik baat mein honge
bas apne fasaane hi shuruaat mein honge
aur baaki bache hain vo sabhi raat mein honge
kuchh raaz nigaahon se bhi zaahir hua hoga
kuchh tark mohabbat ke mulaqaat mein honge
toofaan mohabbat ke agar aankh mein honge
to chaand sitaare to tire haath mein honge
jitna bhi sataana hai tu to utna sata le
ham log hi shaamil tiri baaraat mein honge
udti hui khushboo ye bataati hai mere khat
chaati se lage honge ya phir haath mein honge
ab kaun sunega main sada kisko sunaau
masroof sabhi log ki amwaat mein honge
ham khair-khabar poochen to poochen bhala kis se
ab ahl-e-nazar to gaye arfaat mein honge
dekha tha abhi chhat pe tahalte hue unko
shaadi mein gaye honge ya abyaat mein honge
mat dhoondh ameeri mein faqiri mein kahin bhi
ham log agar honge to khairaat mein honge
मक़्तूब मोहब्बत के सभी हाथ में होंगे
चर्चे तो हमारे ही हर इक बात में होंगे
बस अपने फ़साने ही शुरुआत में होंगे
और बाक़ी बचे हैं वो सभी रात में होंगे
कुछ राज़ निगाहों से भी ज़ाहिर हुआ होगा
कुछ तर्क मोहब्बत के मुलाक़ात में होंगे
तूफ़ान मोहब्बत के अगर आँख में होंगे
तो चाँद सितारे तो तिरे हात में होंगे
जितना भी सताना है तू तो उतना सता ले
हम लोग ही शामिल तिरी बारात में होंगे
उड़ती हुई ख़ुशबू ये बताती है मिरे ख़त
छाती से लगे होंगे या फिर हाथ में होंगे
अब कौन सुनेगा मैं सदा किसको सुनाऊँ
मसरूफ़ सभी लोग कि अम्वात में होंगे
हम ख़ैर-ख़बर पूछें तो पूछें भला किस से
अब अहल-ए-नज़र तो गए अर्फ़ात में होंगे
देखा था अभी छत पे टहलते हुए उनको
शादी में गए होंगे या अबयात में होंगे
मत ढूँढ अमीरी में फ़क़ीरी में कहीं भी
हम लोग अगर होंगे तो ख़ैरात में होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Raat Shayari Shayari