kaun hai jaan jaayega khud se | कौन है जान जाएगा ख़ुद से

  - Prashant Kumar

kaun hai jaan jaayega khud se
aaine mein nazar mila khud se

haan meri jeet to mu'ayyan thi
sab lade sabse main lada khud se

hamein matlab nahin zamaane se
ab zamaana bana liya khud se

fark to hai safar mein tere mere
tu gaya jaan se main gaya khud se

kya karenge tiri mohabbat ka
hamne to dil laga liya khud se

ab zamaane se le ke dekhenge
ab talak to maza liya khud se

dil lagaaya nahin lagaaya hai
maine haan-haan laga liya khud se

sukhan-fahmon se gaya ya gaadi se
khuld yun hi chala gaya khud se

कौन है जान जाएगा ख़ुद से
आइने में नज़र मिला ख़ुद से

हाँ मिरी जीत तो मु'अय्यन थी
सब लड़े सबसे मैं लड़ा ख़ुद से

हमें मतलब नहीं ज़माने से
अब ज़माना बना लिया ख़ुद से

फ़र्क तो है सफ़र में तेरे मिरे
तू गया जाँ से मैं गया ख़ुद से

क्या करेंगे तिरी मोहब्बत का
हमने तो दिल लगा लिया ख़ुद से

अब ज़माने से ले के देखेंगे
अब तलक तो मज़ा लिया ख़ुद से

दिल लगाया नहीं लगाया है
मैंने हाँ-हाँ लगा लिया ख़ुद से

साइकिल से गया या गाड़ी से
ख़ुल्द यूँ ही चला गया ख़ुद से

  - Prashant Kumar

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari