kya khabar thi yaar vo aise khafa ho jaayega
bas zara sii baat par mujhse juda ho jaayega
raah mein kaante bichaana daalkar haathon mein haath
varna sabki nazaron mein tu bewafa ho jaayega
gar mohabbat kar nahin sakte to ranjish hi karo
varna hammein umr bhar ko fasla ho jaayega
naachta hai aaj bhi ye dil ishaaron par tire
teri marzi jab kabhi aa daakhila ho jaayega
be-wafaai kar rahi hai duniya to kuchh bhi nahin
dil hamein de dega to uska bura ho jaayega
क्या ख़बर थी यार वो ऐसे ख़फ़ा हो जाएगा
बस ज़रा सी बात पर मुझसे जुदा हो जाएगा
राह में काँटे बिछाना डालकर हाथों में हाथ
वरना सबकी नज़रों में तू बेवफ़ा हो जाएगा
गर मोहब्बत कर नहीं सकते तो रंजिश ही करो
वरना हममें उम्र भर को फ़ासला हो जाएगा
नाचता है आज भी ये दिल इशारों पर तिरे
तेरी मर्ज़ी जब कभी आ दाख़िला हो जाएगा
बे-वफ़ाई कर रही है दुनिया तो कुछ भी नहीं
दिल हमें दे देगा तो उसका बुरा हो जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Faasla Shayari Shayari