pindaar-e-mohabbat ki nigaahon mein rakha kar | पिंदार-ए-मोहब्बत कि निगाहों में रखा कर - Prashant Kumar

pindaar-e-mohabbat ki nigaahon mein rakha kar
khud ko na kabhi gair kii baanhon mein rakha kar

tu kaanch ka paikar to main patthar ka sanam hoon
tashreef na aise meri raahon mein rakha kar

le jaaye na ye chaand kahin phir se chura kar
tu shaam-o-sehar mujhko nigaahon mein rakha kar

koii na koii ghar mein tire dekh hi lega
tasveer utha kar meri raahon mein rakha kar

ahvaal kisi ko bhi bataana nahin achha
har raaz mera mere gunaahon mein rakha kar

main hi tujhe har baar mohabbat mein manaata
tu thodi bahut sharm nigaahon mein rakha kar

zalim hai zamaana tujhe jeene nahin dega
mujhko na bahut der panahon mein rakha kar

पिंदार-ए-मोहब्बत कि निगाहों में रखा कर
ख़ुद को न कभी ग़ैर की बाँहों में रखा कर

तू काँच का पैकर तो मैं पत्थर का सनम हूँ
तशरीफ़ न ऐसे मिरी राहों में रखा कर

ले जाए न ये चाँद कहीं फिर से चुरा कर
तू शाम-ओ-सहर मुझको निगाहों में रखा कर

कोई न कोई घर में तिरे देख ही लेगा
तस्वीर उठा कर मिरी राहों में रखा कर

अहवाल किसी को भी बताना नहीं अच्छा
हर राज़ मिरा मेरे गुनाहों में रखा कर

मैं ही तुझे हर बार मोहब्बत में मनाता
तू थोड़ी बहुत शर्म निगाहों में रखा कर

ज़ालिम है ज़माना तुझे जीने नहीं देगा
मुझको न बहुत देर पनाहों में रखा कर

- Prashant Kumar
0 Likes

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari