har baar mere dard mein roya hai aasmaan | हर बार मेरे दर्द में रोया है आसमाँ - Prashant Kumar

har baar mere dard mein roya hai aasmaan
is baar de rahe hain magar saath do-jahaan

aise nahin panpate hain bande meri tarah
firta hai bete muddaton khaaliq jahaan tahaan

khud kuchh nahin hai ungaliyaan auron mein kar raha
itna hi kaam rah gaya kya paas mein jahaan

kal sab tamasha dekh ke ghar par chale gaye
aur jhopde se aise hi uthta raha dhuaan

khaaliq bhi haath ponch ke kamre mein ghus gaya
poori hayaat dard mein karta raha fugaan

chahe abhi nikaal do tum gham nahin mujhe
saare jahaan ke dil mein mera ho gaya makaan

meri sukhan-vari ka to andaaz hi alag
ahl-e-zameen mein mujh sa suhan-var hua kahaan

dono jahaan ka haal bayaan ek sher mein
teri tarah prashaant suhan-var nahin yahan

हर बार मेरे दर्द में रोया है आसमाँ
इस बार दे रहे हैं मगर साथ दो-जहाँ

ऐसे नहीं पनपते हैं बंदे मिरी तरह
फिरता है बेटे मुद्दतों ख़ालिक़ जहाँ तहाँ

ख़ुद कुछ नहीं है उँगलियाँ औरों में कर रहा
इतना ही काम रह गया क्या पास में जहाँ

कल सब तमाशा देख के घर पर चले गए
और झोपड़े से ऐसे ही उठता रहा धुआँ

ख़ालिक़ भी हाथ पोंछ के कमरे में घुस गया
पूरी हयात दर्द में करता रहा फ़ुग़ाँ

चाहे अभी निकाल दो तुम ग़म नहीं मुझे
सारे जहाँ के दिल में मिरा हो गया मकाँ

मेरी सुख़न-वरी का तो अंदाज़ ही अलग
अहल-ए-ज़मीं में मुझ सा सुख़न-वर हुआ कहाँ

दोनों जहाँ का हाल बयाँ एक शेर में
तेरी तरह 'प्रशांत' सुख़न-वर नहीं यहाँ

- Prashant Kumar
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari