zamaane ka abhi zulm-o-sitam nahin dekha
kushaada lag raha dast-e-karam nahin dekha
badal gaya hai chalan rafta rafta duniya ka
kisi ke saath puraana sanam nahin dekha
vo saath saath janam tak nibhaane ko kahte
kisi ka hamne dobaara janam nahin dekha
behisht mein hi raha hai chalan ye neki ka
zameen par koii ahl-e-karam nahin dekha
koii na koii to ab khaas baat hai tujhmein
tiri panaah mein aankhon ko nam nahin dekha
har ek shakhs hi main mein rama hua hai ab
zubaan par kisi kii hamne ham nahin dekha
agar ye log bataate to jaan lutaata main
magar kisi ne hi rahm-o-karam nahin dekha
kai tarah ke zamaane mein dard hain lekin
kahin bhi ishq sa ranj-o-alam nahin dekha
har ek shakhs yahan gham-zda bana baitha
kisi ne phir bhi mohabbat ka gham nahin dekha
ज़माने का अभी ज़ुल्म-ओ-सितम नहीं देखा
कुशादा लग रहा दस्त-ए-करम नहीं देखा
बदल गया है चलन रफ़्ता रफ़्ता दुनिया का
किसी के साथ पुराना सनम नहीं देखा
वो साथ सात जनम तक निभाने को कहते
किसी का हमने दुबारा जनम नहीं देखा
बहिश्त में ही रहा है चलन ये नेकी का
ज़मीन पर कोई अहल-ए-करम नहीं देखा
कोई न कोई तो अब ख़ास बात है तुझमें
तिरी पनाह में आँखों को नम नहीं देखा
हर एक शख़्स ही मैं में रमा हुआ है अब
ज़बान पर किसी की हमने हम नहीं देखा
अगर ये लोग बताते तो जाँ लुटाता मैं
मगर किसी ने ही रहम-ओ-करम नहीं देखा
कई तरह के ज़माने में दर्द हैं लेकिन
कहीं भी इश्क़ सा रंज-ओ-अलम नहीं देखा
हर एक शख़्स यहाँ ग़म-ज़दा बना बैठा
किसी ने फिर भी मोहब्बत का ग़म नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Mehboob Shayari Shayari