utha kar idhar bhi nazar dekh lo
tadpata hai mera jigar dekh lo
ki taqdeer khud hi sanwar jaayegi
agar muskuraakar idhar dekh lo
zamaane kii seva hi karte rahe
kabhi jaake apne bhi ghar dekh lo
ameeron kii seva mein ho sab hakeem
ghareebon ka lakht-e-jigar dekh lo
unhin kii mudaava mein hain chaara-gar
koii mera khoon-e-jigar dekh lo
उठा कर इधर भी नज़र देख लो
तड़पता है मेरा जिगर देख लो
कि तक़दीर ख़ुद ही सँवर जाएगी
अगर मुस्कुराकर इधर देख लो
ज़माने की सेवा ही करते रहे
कभी जाके अपने भी घर देख लो
अमीरों की सेवा में हो सब हकीम
ग़रीबों का लख़्त-ए-जिगर देख लो
उन्हीं की मुदावा में हैं चारा-गर
कोई मेरा ख़ून-ए-जिगर देख लो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Ghar Shayari Shayari