ik roz aaye baam-e-falak par bina bulaaye | इक रोज़ आए बाम-ए-फ़लक पर बिना बुलाए

  - Prashant Kumar

ik roz aaye baam-e-falak par bina bulaaye
qismat sanwar hi jaaye mujhe yun gale lagaaye

kaise yaqeen kar loon mohabbat mujhi se hai
usse kaho ki dil mein vo tasveer bhi dikhaaye

kaise na jaan-nisaar karein tujhpe dilruba
din raat jab dikhaaye to zalwa wahi dikhaaye

kuchh ho gaya tujhe to bata kya karenge ham
jaaya na kar tu aise kahin bhi bina bataaye

jitna nasha laga ke tujhe hota hai hamein
chaubees ghante rehta hai vo bhi bina lagaaye

इक रोज़ आए बाम-ए-फ़लक पर बिना बुलाए
क़िस्मत सँवर ही जाए मुझे यूँ गले लगाए

कैसे यक़ीन कर लूँ मोहब्बत मुझी से है
उससे कहो कि दिल में वो तस्वीर भी दिखाए

कैसे न जाँ-निसार करें तुझपे दिलरुबा
दिन रात जब दिखाए तो ज़ल्वा वही दिखाए

कुछ हो गया तुझे तो बता क्या करेंगे हम
जाया न कर तू ऐसे कहीं भी बिना बताए

जितना नशा लगा के तुझे होता है हमें
चौबीस घण्टे रहता है वो भी बिना लगाए

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari